Meri Maa Hamesha kehti hai, ki Kitna alag tha unka bachpan,
35 ke umar mein Nargis Mother India bani, Aur aaj kal sabko hero hi rahna, even if he is Pachpan..
Waheeda Rehman ne “Pyaasa” mein, sirf Apni aankhon se duniya ko maara,
Ab to Katrina ki kamar na dikhe, Distributor to bhookha hi mare bechaara..
Laxmikant Pyarelalji ke madhur saaz , Rafi aur Kishore ke aavaz suhaane,
Aaj kal Sameer jaise lyricist hain, aur sadele rap ke bina kaise hove khatam gaane??
Pehle tha sirf humaara Doordashan, raat ko “chitrahaar” dekhke so jaana..
Aaj kal Hindi sunne bhi na aave, Reality Shows ke karvat shabdon ka hai zamaana..
Aaj kal “Kingfisher Deccan” zyaada chale,kisi ko na jaana in apni comfortable rajdhaani,
Energy ke liye peete hain Gatorade, kya bhool gaye sab log Glucon-D with paani??
Kingfisher aur Royal Stag ka zamaana gayaa beta, sab ko chahiye nashaa foreign,
Teamwork gayaa khadde mein, haare to “Ur fault”, jeete to “Mere Kaaran!!”..
Bacche aaj kal “Wassup Dude” chillaye, Namaste bolne ki gayi tameez..
Dhoti to kabka “out of fashion” gayaa, abhi door na rahaa Salwar Kameez..
Dekh rahe ho na ooparwaale kitni badli humaari psyche??
Pehle bole “Hey Bhagwan” uske baad “teri Maa Ki”
Haan, Cricket ek abhi bhi chale, Doosre khelon mein iccha kab jaagegi??
20 saal mein Afreeka bhi football cup host karne lagaa oye, humaara baari kab aaegi??
Bhartiyon ne Noble aur Oscar Puraskar hai jeete, 60 saal hue, berozgaari ki abhi bhi paari hai..
Kaise aage badhe desh ?? 20-30 saal pehle jo Politicians the unki innings abhi bhi jaari hai..
Chalo jo bhi ho,Maa kehti hai hi badlaav to aana hai hi.. yeh zindagi ki reet hai..
Pustakon mein meri kavita chapne se rahi.. Abhi 2-3 log bhi padhe to yeh experience sweet hai..!!
( Rohanji ko is kavita ki prerna jagaane ke liye dhanyavaad)

You sound like a grandfather in this one but its awesome :D
ReplyDeleteTHank you.. thank you.. :P
ReplyDeletepriy mitr...iss kavita ko padhke bahut hassi aayi..kaafi anusandhan kiya hai likhne mein...jaari rakho likhna...hum tumhaare saath hai!!! Jai Hind!!!
ReplyDeleteit tuk me ages to read this n get it...bt its madddd....crazy shit man:D:D
ReplyDelete